Gandhigiri is relatively a new term coined by the movie "Lage raho Munna bhai". It simply means following Gandhian principles. If someone gives you a tight slap show your other cheek in true spirit of Gandhigiri instead of breaking their knuckles.
Bole toh aaj se apun baapu ke principles ko follow karega !
Since I am a software engineer by profession let me see how it will
apply to my area.
Save Petrol, Save nature
Circuit : Matlab kya bhai? apun ko samajh nahi aaya
Munna: Arey simple hai re.. bole toh ab office mein sab rehte ek jagah,
kaam ek jagah karte hain toh fir alag alag kaiko aane ka...
Sab bheedu logon ko ek saath kaam pe aane ka aur mast petrol bachane ka
Save Paper, Save Nature
Circuit: bhai yeh apun samjhaata hai apni style mein..
bhai log meri baat apne bheje mein daal lo..
paper print karne ke time paper dono baaju ghuma ke daalne kya
Corporate Responsibility
Circuit: Bole toh?
Munna : Arey main samjhaata hoon naa..
abhi suit boot pehenke office jaate hain toh saala sabko akad bhi aa jaata hai..
badi post pe aane ke baad bhai log apni social responsibility ko bhool rahle hain..
1. knowledge sharing - arey baapu ne bola hai gyaan ko baato usse hi
woh badega.. lekin sala sab apne dimaag mein fit karke rakhte hain..
isiliye knowledge ko dimaag mein rakhke sadaane ka nahi..
2. Respect everyone.. Abhi yeh chai wala, desk saaf karne wala, canteen wala sablog life mein important hai ki nahi.. toh sabko respect dene ka.. chaahe tu company ka CEO kyu na ban jaaye..
3. Cribbing..
Munna : bole toh roj yeh office mein bhai log chai peete peete shuru ho jaate hia na..
jaise ki aaj time pe paani nahi aaya, lift ruk ruk ke chal rehla hai..ghar pe kaam karne wali bai nahi aayi
arey bas karo bhai log.. jo hai usme khush rehne ka.. khaali khit khit nahi karne ka..
Thodi takleef hai tereko pata hai.. usko vinamrata se solve karne ka.. samjha naa...jaise Baapu bolte hain..
bhai vinamra bole to kya ?? :P :P :P
ReplyDelete